wazirX kya hai | wazirX me account kaise banaye | Trading Kaise kare
wazirx app or wazirx.com website kya hai, wazirx me trading kaise kare, wazirx account kaise banaye, cryptocurrency kaise buy kare DogeCoin, Bitcoin, Ripple etc..,
wazirX Kya Hai
wazirx ek Indian company tha jo ki Mumbai me banaya gya tha. lekin ise binance ne buy kar liya. phir bhi iska headquater Mumbai me hi hai. aur wazirx ek india ke liye hi hai jiasame aap INR me trading kar sakate hai.
waziRX.com website par aapko bata de 8 million se 15 million ki monthly traffic hai isase aap anuman laga sakate hai ki kitna popular hai. other cryptocurrency exchange me kisi ka website nhi hota hai kewal app hota hai. jo ki app me trading karna achhe se nhi hota hai. agar aapke pas computer nhi hai to wazirx ka app bhi hai.
wazirX ek crypto currency exchange platform hai jaha aap crypto currency exchange kar sakate hai. yaha 30+ se jayda crypto currency available hai investment karane ke liye.
Cryptocurrency Kya Hota hai
Crypto currency share market jaisa hi kaam karata hai lekin bahut se cheeze alag hai. aapko bata de aaj ke date me almost 5,300 se bhi adhik cryptocurrencies hai. like Bitcoin, Ripple, ethereum, dogecoin, matic, etc.., hai. sabse bada currency aaj ke date hai Bitcoin hai (22-April-2021) me ek Bitcoint ka Price 46 Lack Inr hai. jo ki aaj se 4 months pahale 7 lack per Bitcoin ka price tha.
Aaj kal Cryptocurrencies ka market badhata hi ja raha hai aapko bata de aaj ka crypto currency ka market almost $2 Trillion USD hai jo ki kai country ke economy se bhi jyada hai.
Aapko yah bhi mai bata du Crypto currency se kai log millionaire, billionaire bhi bane hai. ise aap search bhi kar ke dekh sakate hai.
cryptocurrencies Aaj kal kai saare saste me bhi hai jo ki aapko 1 INR, 10 INR, 20 INR, 30 INR, 40 INR, 2000 INR etc.., me bhi mil jata hai.
Cryptocurrency se kai log ka rojgar bhi mila hai kai log ka income source bhi yahi hota hai. aur isase kai log passive income bhi karate hai.
wazirX se kitna kama sakate hai
wazirX ek crpto trading exchange hai aap wazirX ko nhi use karna chahate hai to aap kisi aur trading exchange ka use kar sakate hai like coinswitch, zebpay, coindcx, etc.., lekin wazirX ka jyade users hai almost aur iska fees kam hai, saath hi website aur app bhi hai. easy to use hai. Aap wazirX ka fees calculate kar sakate hai calculate karane ke liye link pe jaye – wazirX fees calculator
Agar Income ki baat kare to yaha aap second me lakho hajaro kama sakate hai. suppose aapne 10,000 Doge coin 20 INR me buy kiya aur jaisa hi 21 INR price hoga waise hi aap sell kar sakate hai ya apne aap sell buy ka bhi option hota hai aap set kar sakate hai ki jaise 21 INR ho waise hi sell ho jaye aur jaise hi 19 INR ho waise hi buy ho jaye. aise aap unlimited earning kar sakate hai.
Disadvantage of cryptocurrencies
Cryptocurrencies ke bahut se disadvantage hai jaise ispar government ka koi control nhi hota hai. kai aise bhi crypto currency hai jiska origin hi nhi pata chalata hai. kai saare cryptocurrencies ka headquarter hi nhi hota hai. agar cryptocurrency company bhi bhaag gayi to ispar koi kuch nhi kar sakata hai kyounki yah goverment dwara control nhi hota hai. lekin aisa na hi hota hai. isliye aap dare na thoda sa risk hai but income bhi hai.
agar aap disadvantage se sahmat nhi hai to aap Demat account open kare aur direct company ka share buy and sell kare ispar goverment ka bhi control hota hai. aur isame achhi company hi list ho pati hai. but company ka share mahanga hota hai. aur kai saare companies jald growth bhi nhi karati hai. agar aap yah negtive adjust kar sakate hai to aap company ka share hi buy sell kare.
aapko bata de developed country me log investment par jyada focus karate hai jaise USA (America) me aadhe se jyada population share buy and sell karati rahati hai yahi china me 15% population and India me 5% population. Poor country me koi investment nhi karata hai kyounki padhe likhe na hona saath hi paisa hi na hona, digital life ko na samajhana.
Best Cryptocurrencies for investment
jab yah content likha ja raha hai tab kuch best cryptocurrencies jisame aap investment kar sakate hai bilkul affordable price me. (22-Apr-2021)
DogeCoin | 22 INR Average |
Matic | 30 INR Average |
VET | 17 INR Average |
HBAR | 22 INR Average |
USDT | 82 INR Average |
Pahali bar crypto currency kaise buy and sell kare
agar aap pahale kabhi buy nhi kiye hai to lalach me aakr jyada coin na buy kare starting me agar aap afford kar sakate hai to 10 – 30 coin hi buy kare usake baad 2 se 4 days market aur trading ko samajh le usake baad se aap thoda expert ban jaayenge tab se aap man chahe coin buy kar sakate hai.
wazirX me account kaise banaye
agar aapke pas mobile ho ya computer aapko pahale website wazirX website par account banakar mobile me log in karna hoga. aur aapke pas computer hai to bahut hi achha hai official website par hi achhe se trading kar sakate hai. Account banane ke liye official website par jaye – wazirX.com .
- Sign up par click kare
- Apana first box me Apana Email type kare.
- second box me apana password koi bana le.
- third box me jo aapne second box me password banaya hai wahi same third box me bhi type kare.
- check box par click karke sing up par click kare.
- ab jo aapne email first me type kiya hai us par email gya hoga email ko open kare aur verify email par click kare. (jyade time na laage nhi to email 15 minutes me expire bhi ho jata hai aap chahe to resend par click karke phir dubara email manga sakate hai.)
- ab continue button par click kare
- ab three option aayega iska matalab hota hai ki jab aap log in karane jayange to aapse otp lagega ya phir kuch bhi nhi. aap otp wale second option ko choose kare mobile number enter kare aur otp dalkar aage badhe.
- ab aap apna country select kare karate hi ek aur option aayega type of KYC to aap personal select kare aur kyc par click kare agar aap kyc nhi karna chahate hai to skip kyc par bhi click kar sakate hai. jab tak kyc nhi karange tab tak aap apna money nhi nikal sakate hai kewal add kar sakate hai. KYC bahut bahut hi easy hai isliye kyc turant kar le. complete kyc par click kare aur apna pan card le aur same details on the pan card par hai use fill up kare. usake baad pan card ka front photo le aur aadhar card ke dono taraf ki photo le tatha ek selfie bhi lena padega apane aadhar card ke saath aur jaha jo likha hai uska photo upload kar de.
- usake baad aapka account ban gya.
- ab aap trading kar sakate hai agar aapka documents shi hoga to account 2-3 days me KYC complete ho jata hai.
- ab funds par jaye aur balance Rupees ke samane ka button Deposite par click karke ek account so hoga uspar money send kar de. (dhyan rahe jo account aapne dala hai usi se paisa jana chahiye otherwise paise account me add nhi hoga. paisa add hone me kuch time lag sakata hai like 10 minutes.
Create Account by Video – Video Dekh kar KYC, Deposite, Money Transfer kare.
Click on wazirX to create account
Wazirx Support/Customer Care
If you any problem wazirx related then you can contact them by Email and Call
Email:- support@wazirx.zendesk.com and support+id1411948@wazirx.zendesk.com
Phone:- 1800-309-4449 and 0124-6124101 and 0124-4189201